Namaskaar Dosto, is video mein maine aapse Google Pixel 4 aur Pixel 4 XL ke baare mein baat ki hai. Google ne is saal apne Pixel Phones ke lineup mein add kiye hai Pixel 4 aur Pixel 4 XL aur yeh dono hi bahut interesting phones hai jaha main highlight Hardware aur Software ka integration hai aur saath mein hai Motion Sense technology jo based hai Project Soli pe, yaha pe camera kaafi stunning performer hai jo aata Dual camera setup ke saath mein jaha hai 12MP ka main camera aur 16Mp ka telephoto Camera. Google Pixel 4 mein hume project soli ka integration milta hai jiski madad se hum Motion sense tech ko use kar sakte hai jo ki ek RADAR jaisa hai. Google Pixel 4 mein 5.7" ka 19:9 aspect ratio ka FHD+ Display hai aur saath mein Snapdragon 855 Processor aur 6GB RAM, is phone mein 2800mAh ki battery hai aur 8MP ka selfie camera. Pixel 4 XL mein display 6.3” ka hai jo hai QHD+ resolution ke saath aur yeh hai 3700mAh ki battery ke saath mein, in fact dono phones mein hume 90Hz refresh rate ka option mil jaata hai. Is video mein maine aapke liye ki hai Google Pixel 4 ke special box ki unboxing ki hai aur kuch details share ki hai isi phone ke baare mein, abhi halanki Google is saal is Pixel 4 aur Pixel 4 XL ko India mein launch nahi karega. Mujhe umeed hai ki aapko Pixel 4XL unboxing ki yeh video pasand aayegi.
Share, Support, Follow !!!